hazar marhale honge junun se aage bhi
hazār marhale hoñge junūñ se aage bhī
base haiñ shahr ka.ī sail-e-ḳhūñ se aage bhī
ham ek din qafas-e-jāñ se bāhar aa.e to
pahuñch ga.e falak-e-nīlgūñ se aage bhī
bikhar rahī haiñ darūn-o-barūñ kī saarī hadeñ
lagā.eñ ḳhema darūn-o-barūñ se aage bhī
hameñ ḳhabar huī ye shahr sone vaalā hai
so dekh aa.e badan ke fusūñ se aage bhī
kabhī to jhāñk le dīvār-e-qahqaha se udhar
kabhī to dekh le hadd-e-junūñ se aage bhī
hazar marhale honge junun se aage bhi
base hain shahr kai sail-e-KHun se aage bhi
hum ek din qafas-e-jaan se bahar aae to
pahunch gae falak-e-nilgun se aage bhi
bikhar rahi hain darun-o-barun ki sari haden
lagaen KHema darun-o-barun se aage bhi
hamein KHabar hui ye shahr sone wala hai
so dekh aae badan ke fusun se aage bhi
kabhi to jhank le diwar-e-qahqaha se udhar
kabhi to dekh le hadd-e-junun se aage bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.