hazar martaba dekha sitam judai ka
hazār martaba dekhā sitam judā.ī kā
hanūz hausla baaqī hai āshnā.ī kā
parī uThī mire pahlū se bārhā nākām
farefta huuñ tirī tarz-e-dilrubā.ī kā
mujhe azāb-e-jahannam ki but-parast huuñ maiñ
vo but bahisht meñ dā'vā jise ḳhudā.ī kā
fazā-e-bāġh se hai gosha-e-qafas ḳhush-tar
gar apne dil meñ na ho daġhdaġha rihā.ī kā
adab na vādī-e-vahshat ke mujh se tark hue
junūñ meñ hosh rahā hai barahna-pā.ī kā
nigāh ḳhanda taġhāful 'itāb kohna hue
nikāl tarz nayā koī dilrubā.ī kā
butoñ kā sajda mirī sarnavisht meñ kab thā
ki 'azm kā'ba ke dar par ho jubba-sā.ī kā
uchak rahā hai khaḌā bām-e-arsh par kam-baḳht
qalaq hai mujh ko 'shahīdī' kī nā-rasā.ī kā
hazar martaba dekha sitam judai ka
hanuz hausla baqi hai aashnai ka
pari uThi mere pahlu se barha nakaam
farefta hun teri tarz-e-dilrubai ka
mujhe azab-e-jahannam ki but-parast hun main
wo but bahisht mein da'wa jise KHudai ka
faza-e-bagh se hai gosha-e-qafas KHush-tar
gar apne dil mein na ho daghdagha rihai ka
adab na wadi-e-wahshat ke mujh se tark hue
junun mein hosh raha hai barahna-pai ka
nigah KHanda taghaful 'itab kohna hue
nikal tarz naya koi dilrubai ka
buton ka sajda meri sarnawisht mein kab tha
ki 'azm ka'ba ke dar par ho jubba-sai ka
uchak raha hai khaDa baam-e-arsh par kam-baKHt
qalaq hai mujh ko 'shahidi' ki na-rasai ka
- Book : Noquush (Pg. B-284 E300)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.