hazar maslahat-e-waqt sath sath rahi
hazar maslahat-e-waqt sath sath rahi
Maya Khanna Raje Barelvi
MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi
hazār maslahat-e-vaqt saath saath rahī
junūñ ke sāmne baazī ḳhirad kī maat rahī
jahāñ bhī maiñ ne imārat kā ehtirām kiyā
vahīñ pe ruuTh ke mujh se mirī hayāt rahī
tirī nigāh-e-karam par yaqīn kyā aayā
fareb-e-husn meñ ye saarī kā.enāt rahī
vo ik kalī ne chaTak kar chaman ko samjhā dī
jo bāt-chīt sitāroñ se saarī raat rahī
ḳhirad ne laakh dikhā.īñ vafā kī tasvīreñ
mirī nigāh magar jānib-e-furāt rahī
vo dasht ho ki falak-bos gumbad-o-mehrāb
ġharaz ki ho ke mohabbat kī vārdāt rahī
ye apne apne samajhne kā farq hai 'rāje'
kahāñ nigāh-e-karam nazr-e-iltifāt rahī
hazar maslahat-e-waqt sath sath rahi
junun ke samne bazi KHirad ki mat rahi
jahan bhi main ne imarat ka ehtiram kiya
wahin pe ruTh ke mujh se meri hayat rahi
teri nigah-e-karam par yaqin kya aaya
fareb-e-husn mein ye sari kaenat rahi
wo ek kali ne chaTak kar chaman ko samjha di
jo baat-chit sitaron se sari raat rahi
KHirad ne lakh dikhain wafa ki taswiren
meri nigah magar jaanib-e-furaat rahi
wo dasht ho ki falak-bos gumbad-o-mehrab
gharaz ki ho ke mohabbat ki wardat rahi
ye apne apne samajhne ka farq hai 'raje'
kahan nigah-e-karam nazr-e-iltifat rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.