hazar rang ye wahshat qadam qadam pe khuli
hazār rañg ye vahshat qadam qadam pe khulī
ki zindagī kī haqīqat qadam qadam pe khulī
mire vajūd kā uqda kabhī bhī khul na sakā
mire ḳhayāl kī vus.at qadam qadam pe khulī
sirāt-e-jāñ pe hamesha safar talab hī rahe
masāfatoñ se aqīdat qadam qadam pe khulī
vafā kī raah meñ chup-chāp chalte rahne se
gurez-kosh mohabbat qadam qadam pe khulī
dayār-e-ishq meñ ham par karam kuchh aise huā
visāl-e-ġham kī suhūlat qadam qadam pe khulī
vo ek lafz ki jis par badal gayā lahja
us ek lafz kī shiddat qadam qadam pe khulī
tamām-umr sarāboñ kī justujū meñ kaTī
kabhī na thī jo zarūrat qadam qadam pe khulī
hazar rang ye wahshat qadam qadam pe khuli
ki zindagi ki haqiqat qadam qadam pe khuli
mere wajud ka uqda kabhi bhi khul na saka
mere KHayal ki wusat qadam qadam pe khuli
siraat-e-jaan pe hamesha safar talab hi rahe
masafaton se aqidat qadam qadam pe khuli
wafa ki rah mein chup-chap chalte rahne se
gurez-kosh mohabbat qadam qadam pe khuli
dayar-e-ishq mein hum par karam kuchh aise hua
visal-e-gham ki suhulat qadam qadam pe khuli
wo ek lafz ki jis par badal gaya lahja
us ek lafz ki shiddat qadam qadam pe khuli
tamam-umr sarabon ki justuju mein kaTi
kabhi na thi jo zarurat qadam qadam pe khuli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.