hazar subh ne kirnon ke jal phailae
hazār sub.h ne kirnoñ ke jaal phailā.e
magar simaT na sake raat ke ghane saa.e
tavāf kartī hai manzil usī musāfir kā
jo rāstoñ ke ḳham-o-pech se na ghabrā.e
ye intizār kī ghaḌiyāñ baḌī ġhanīmat haiñ
ḳhudā kare ki yūñhī zindagī guzar jaa.e
shamīm-e-gul se kisī pairahan kī ḳhushbū tak
the silsile hī kuchh aise ki jo na raas aa.e
ḳhayāl aayā jahāñ raah meñ Thaharne kā
vahīñ jhulastī huī dhuup meñ Dhale saa.e
jahāñ jahāñ ga.e logoñ kī rahbarī ke liye
ham apne naqsh-e-qadam rāstoñ meñ chhoḌ aa.e
dam ab ulajhne lagā hai bahut hī rishtoñ se
hameñ zamāna ye zanjīr ab na pahnā.e
hameñ nahīñ hai tahī-dāmanī kā ġham hargiz
haiñ apne paas bahut hādsoñ ke sarmā.e
'zafar' ḳhizāñ to bahar-hāl thī ḳhizāñ lekin
bahār aa.ī to kuchh aur phuul murjhā.e
hazar subh ne kirnon ke jal phailae
magar simaT na sake raat ke ghane sae
tawaf karti hai manzil usi musafir ka
jo raston ke KHam-o-pech se na ghabrae
ye intizar ki ghaDiyan baDi ghanimat hain
KHuda kare ki yunhi zindagi guzar jae
shamim-e-gul se kisi pairahan ki KHushbu tak
the silsile hi kuchh aise ki jo na ras aae
KHayal aaya jahan rah mein Thaharne ka
wahin jhulasti hui dhup mein Dhale sae
jahan jahan gae logon ki rahbari ke liye
hum apne naqsh-e-qadam raston mein chhoD aae
dam ab ulajhne laga hai bahut hi rishton se
hamein zamana ye zanjir ab na pahnae
hamein nahin hai tahi-damani ka gham hargiz
hain apne pas bahut hadson ke sarmae
'zafar' KHizan to bahar-haal thi KHizan lekin
bahaar aai to kuchh aur phul murjhae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.