hazar zaKHm ba-unwan-e-jaan liye phirna
hazār zaḳhm ba-unvān-e-jāñ liye phirnā
umīd-o-bīm kī ek dāstāñ liye phirnā
mohabbatoñ ko baratnā na aaya umr ga.ī
hazīmatoñ ke diloñ meñ nishāñ liye phirnā
ye bad-diyānatī fitrat hai kuchh adīboñ kī
kisī ke lafz kisī kā bayāñ liye phirnā
ġhazal meñ baat na dair-o-haram kī ho lekin
diloñ meñ daftar-e-hubb-e-butāñ liye phirnā
vufūr-e-shauq kī nākāmiyoñ meñ ḳhush honā
hujūm-e-dard meñ dil shādmāñ liye phirnā
jo raftagāñ haiñ kabhī lauT kar na ā.eñge
tum apne saath hī ye kahkashāñ liye phirnā
zamīñ kā rizq bane sab shajar-e-sāya-dār
ab in kī chaah kā tum sā.ebāñ liye phirnā
jo ghar basā.e the luT piT ke ho ga.e barbād
tum apne kāñdhoñ pe ik āshiyāñ liye phirnā
koī kahe ise ham zindagī nahīñ kahte
za.iif kāñdhoñ pe bār-e-garāñ liye phirnā
husūl-e-rizq hī maqsad nahīñ hai jiine kā
dil-o-dimāġh ko mat rā.egāñ liye phirnā
ye aur baat ke mahrūmiyāñ rahīñ ham-gām
tum aarzū ko yūñhī be-karāñ liye phirnā
guzishtagāñ kī vo sohbat kahāñ 'urūj' magar
unhīñ ke zikr se dil shādmāñ liye phirnā
junūn-e-shauq meñ shiddat na ho to hai be-sūd
junūn-e-ishq kā tauq-e-garāñ liye phirnā
hazar zaKHm ba-unwan-e-jaan liye phirna
umid-o-bim ki ek dastan liye phirna
mohabbaton ko baratna na aaya umr gai
hazimaton ke dilon mein nishan liye phirna
ye bad-diyanati fitrat hai kuchh adibon ki
kisi ke lafz kisi ka bayan liye phirna
ghazal mein baat na dair-o-haram ki ho lekin
dilon mein daftar-e-hubb-e-butan liye phirna
wufur-e-shauq ki nakaamiyon mein KHush hona
hujum-e-dard mein dil shadman liye phirna
jo raftagan hain kabhi lauT kar na aaenge
tum apne sath hi ye kahkashan liye phirna
zamin ka rizq bane sab shajar-e-saya-dar
ab in ki chah ka tum saeban liye phirna
jo ghar basae the luT piT ke ho gae barbaad
tum apne kandhon pe ek aashiyan liye phirna
koi kahe ise hum zindagi nahin kahte
zaif kandhon pe bar-e-garan liye phirna
husul-e-rizq hi maqsad nahin hai jine ka
dil-o-dimagh ko mat raegan liye phirna
ye aur baat ke mahrumiyan rahin ham-gam
tum aarzu ko yunhi be-karan liye phirna
guzishtagan ki wo sohbat kahan 'uruj' magar
unhin ke zikr se dil shadman liye phirna
junun-e-shauq mein shiddat na ho to hai be-sud
junun-e-ishq ka tauq-e-garan liye phirna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.