hazar zaKHm hain dil par jigar pe khae hue
hazār zaḳhm haiñ dil par jigar pe khaa.e hue
magar mile jo kisī se to muskurā.e hue
kuchh is adā se vo aa.e nazar jhukā.e hue
tamām rah ga.e shikve zabāñ pe aa.e hue
udhar to sāġhar-o-paimāna vaale rahte haiñ
udhar kahāñ chale vaa.iz qadam baḌhā.e hue
baḌho kuchh aur ki tārīkī-e-jafā kam ho
isī tarah se charāġh-e-vafā jalā.e hue
hameñ satāne se baaz aaoge yaqīñ to nahīñ
tumhāre kitne hī va.ade haiñ āzmā.e hue
tumhāre tīr-e-nazar ko kisī ne kuchh na kahā
hamārī aah ko haiñ dāstāñ banā.e hue
hamārā zikr aur is mai-kade meñ ai 'āsī'
yahāñ to shaiḳh-o-barahman haiñ Dagmagā.e hue
hazar zaKHm hain dil par jigar pe khae hue
magar mile jo kisi se to muskurae hue
kuchh is ada se wo aae nazar jhukae hue
tamam rah gae shikwe zaban pe aae hue
udhar to saghar-o-paimana wale rahte hain
udhar kahan chale waiz qadam baDhae hue
baDho kuchh aur ki tariki-e-jafa kam ho
isi tarah se charagh-e-wafa jalae hue
hamein satane se baz aaoge yaqin to nahin
tumhaare kitne hi wade hain aazmae hue
tumhaare tir-e-nazar ko kisi ne kuchh na kaha
hamari aah ko hain dastan banae hue
hamara zikr aur is mai-kade mein ai 'asi'
yahan to shaiKH-o-barahman hain Dagmagae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.