hazaron dard-o-gham ke darmiyan hum the
hazāroñ dard-o-ġham ke darmiyāñ ham the
jahāñ meñ ab kahāñ haiñ kal kahāñ ham the
taġhāful kījiye par soch lo itnā
tumhārī zindagī kī dāstāñ ham the
tumhārī bad-zabānī chubh rahī lekin
tumhāre hoñTh par shīrīñ-zabāñ ham the
ye taḳht-o-tāj duniyā meñ bhalā kab tak
mohabbat ziist hai socho kahāñ ham the
mohabbat khā ga.ī hai bhiiḌ nafrat kī
vo baḌhte bhā.ī-chāre kā gumāñ ham the
kahīñ nafrat kahīñ ulfat kahīñ dhokā
kahīñ jalte hue ghar be-zabāñ ham the
kuchal Daalā hai jis ko vaqt ne yaaro
zamīñ haiñ aaj par kal āsmāñ ham the
hazaron dard-o-gham ke darmiyan hum the
jahan mein ab kahan hain kal kahan hum the
taghaful kijiye par soch lo itna
tumhaari zindagi ki dastan hum the
tumhaari bad-zabani chubh rahi lekin
tumhaare honTh par shirin-zaban hum the
ye taKHt-o-taj duniya mein bhala kab tak
mohabbat zist hai socho kahan hum the
mohabbat kha gai hai bhiD nafrat ki
wo baDhte bhai-chaare ka guman hum the
kahin nafrat kahin ulfat kahin dhoka
kahin jalte hue ghar be-zaban hum the
kuchal Dala hai jis ko waqt ne yaro
zamin hain aaj par kal aasman hum the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.