hazaron gham hain is manzil mein manzil dekhne wale
hazāroñ ġham haiñ is manzil meñ manzil dekhne vaale
kaleja thaam le apnā mirā dil dekhne vaale
ye dil vāloñ ko ta.alīm-e-sujūd pā-e-jānāñ hai
sar-e-har-mauj ko barpā-e-sāhil dekhne vaale
har ik zarre meñ poshīda hai ik tuġhyān-e-mad.hoshi
sambhal kar dekhnā paimāna-e-dil dekhne vaale
miTātā jā rahā huuñ naqsh-e-pā sahrā-navardī meñ
kahāñ DhūñDeñge mujh ko merī manzil dekhne vaale
tere dil meñ hazāroñ mahfileñ jalvoñ kī pinhāñ haiñ
falak par anjum-e-tābāñ kī mahfil dekhne vaale
fishār-e-zabt se lailā kahīñ majnūñ na ho jaa.e
na dekh ab sū-e-mahmil sū-e-mahmil dekhne vaale
kisī kā aks huuñ 'ehsān' murā.āt-e-haqīqat meñ
mujhe samjheñge kyā tasvīr-e-bātil dekhne vaale
hazaron gham hain is manzil mein manzil dekhne wale
kaleja tham le apna mera dil dekhne wale
ye dil walon ko talim-e-sujud pa-e-jaanan hai
sar-e-har-mauj ko barpa-e-sahil dekhne wale
har ek zarre mein poshida hai ek tughyan-e-madhoshi
sambhal kar dekhna paimana-e-dil dekhne wale
miTata ja raha hun naqsh-e-pa sahra-nawardi mein
kahan DhunDenge mujh ko meri manzil dekhne wale
tere dil mein hazaron mahfilen jalwon ki pinhan hain
falak par anjum-e-taban ki mahfil dekhne wale
fishaar-e-zabt se laila kahin majnun na ho jae
na dekh ab su-e-mahmil su-e-mahmil dekhne wale
kisi ka aks hun 'ehsan' muraat-e-haqiqat mein
mujhe samjhenge kya taswir-e-baatil dekhne wale
- Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 294)
- Author : Shabnam Parveen
- Publication : Asghar Publishers (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.