hazaron KHwahishen rakhne ki majburi nahin hoti
hazāroñ ḳhvāhisheñ rakhne kī majbūrī nahīñ hotī
havas insān kī lekin kabhī puurī nahīñ hotī
hamāre jaise bhī qurbāñ hue har ahd meñ kitne
anal-haq kī sadā har baar mansūrī nahīñ hotī
ye kaise jurm kī pādāsh hai ye zindagī jis se
rihā.ī mil to jaatī hai sazā puurī nahīñ hotī
masā.il se ulajhnā shaan mardoñ kī sahī lekin
na ho gar tazkira terā ġhazal puurī nahīñ hotī
hazaron KHwahishen rakhne ki majburi nahin hoti
hawas insan ki lekin kabhi puri nahin hoti
hamare jaise bhi qurban hue har ahd mein kitne
anal-haq ki sada har bar mansuri nahin hoti
ye kaise jurm ki padash hai ye zindagi jis se
rihai mil to jati hai saza puri nahin hoti
masail se ulajhna shan mardon ki sahi lekin
na ho gar tazkira tera ghazal puri nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.