hazaron ki jaan le chuka hai ye chehra zer-e-naqab ho kar
hazaron ki jaan le chuka hai ye chehra zer-e-naqab ho kar
Aasi Ghazipuri
MORE BYAasi Ghazipuri
hazāroñ kī jaan le chukā hai ye chehra zer-e-naqāb ho kar
magar qayāmat karoge barpā jo nikloge be-hijāb ho kar
shanāḳht us kī ho sahl kyūñ-kar ki jab na tab bhes ik nayā ho
vo din ko ḳhurshīd ho ke nikle to raat ko māhtāb ho kar
maiñ dil se us shaiḳh kā huuñ qaa.il ki mai-kade meñ paḌhe tahajjud
lagā.e masjid meñ nā're hū-haq ke mahv-e-daur-e-sharāb ho kar
firāq meñ is qadar taraddud abhī tumheñ kuchh ḳhabar nahīñ hai
baḌhegī kuchh aur be-qarārī visāl meñ kāmyāb ho kar
na kar tū itnī mazammat is kī bahisht kī chiiz hai ye vā'iz
ye balki hai josh-e-bahr-e-rahmat agarche aayā sharāb ho kar
vo thā badan yā koī gul-e-tar phir us kī ḳhushbū vo rūh-parvar
jidhar se guzre basā vo rasta bahā pasīna gulāb ho kar
janāb-e-'nāsiḳh' kī ye hidāyat hai yaad rakhnā tum is ko 'āsī'
ġhazal meñ aise hoñ she'r jin meñ kamī na ho intiḳhāb ho kar
hazaron ki jaan le chuka hai ye chehra zer-e-naqab ho kar
magar qayamat karoge barpa jo nikloge be-hijab ho kar
shanaKHt us ki ho sahl kyun-kar ki jab na tab bhes ek naya ho
wo din ko KHurshid ho ke nikle to raat ko mahtab ho kar
main dil se us shaiKH ka hun qail ki mai-kade mein paDhe tahajjud
lagae masjid mein na're hu-haq ke mahw-e-daur-e-sharab ho kar
firaq mein is qadar taraddud abhi tumhein kuchh KHabar nahin hai
baDhegi kuchh aur be-qarari visal mein kaamyab ho kar
na kar tu itni mazammat is ki bahisht ki chiz hai ye wa'iz
ye balki hai josh-e-bahr-e-rahmat agarche aaya sharab ho kar
wo tha badan ya koi gul-e-tar phir us ki KHushbu wo ruh-parwar
jidhar se guzre basa wo rasta baha pasina gulab ho kar
janab-e-'nasiKH' ki ye hidayat hai yaad rakhna tum is ko 'asi'
ghazal mein aise hon she'r jin mein kami na ho intiKHab ho kar
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 50)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.