hazaron koshishen kin aazma kar
hazāroñ koshisheñ kiiñ aazmā kar
na jī paa.ī kabhī tum ko bhulā kar
baḌī shā.istagī se dil ye merā
churāyā tum ne hai nazreñ milā kar
nigāheñ DhūñDhtī rahtīñ haiñ tum ko
kahāñ gum ho ga.e chehra dikhā kar
hameñ tum se mohabbat ho na jaa.e
hameñ dekho na itnā muskurā kar
sukūñ mil jā.egā betāb dil ko
kabhī dekho to siine se lagā kar
rakhegī 'yāsmīñ' dil meñ hamesha
tumheñ duniyā kī nazroñ se bachā kar
hazaron koshishen kin aazma kar
na ji pai kabhi tum ko bhula kar
baDi shaistagi se dil ye mera
churaya tum ne hai nazren mila kar
nigahen DhunDhti rahtin hain tum ko
kahan gum ho gae chehra dikha kar
hamein tum se mohabbat ho na jae
hamein dekho na itna muskura kar
sukun mil jaega betab dil ko
kabhi dekho to sine se laga kar
rakhegi 'yasmin' dil mein hamesha
tumhein duniya ki nazron se bacha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.