hazaron log hain apni tarah ke
hazāroñ log haiñ apnī tarah ke
sitam jo jhelte haiñ muskurā ke
kahāñ tārīkiyoñ meñ kho ga.e ho
hamāre haath par sham.a jalā ke
zarā baiTho hamārā haal dekho
kidhar jaate ho tum ye gul khilā ke
tire baare meñ ye sochā nahīñ thā
ki tū bhī chhoḌ degā aazmā ke
chaman meñ tum 'ḳhalīl' aa.e nahīñ ho
mujhe sunñe paḌe shikve sabā ke
hazaron log hain apni tarah ke
sitam jo jhelte hain muskura ke
kahan tarikiyon mein kho gae ho
hamare hath par shama jala ke
zara baiTho hamara haal dekho
kidhar jate ho tum ye gul khila ke
tere bare mein ye socha nahin tha
ki tu bhi chhoD dega aazma ke
chaman mein tum 'KHalil' aae nahin ho
mujhe sunne paDe shikwe saba ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.