hazaron mushkilen hain aur lakhon gham liye hain hum
hazāroñ mushkileñ haiñ aur lākhoñ ġham liye haiñ ham
mohabbat kā magar hāthoñ meñ ik parcham liye haiñ ham
vo naġhme jo ḳhizāñ ko phir bahār-e-nau banāte haiñ
unhī gītoñ kī hoñToñ par na.ī sargam liye haiñ ham
hamāre dil meñ hai jazbāt kā taptā huā sūraj
jo palkoñ se chunī vo dard kī shabnam liye haiñ ham
mubārak ho ḳhirad vāloñ tumheñ fikr-o-nazar apnī
haiñ ahl-e-dil bahār-e-ishq ke mausam liye haiñ ham
palaTiye gar kabhī fursat mile aurāq maazī ke
hamārī kyā sifat bhī aur kyā kyā ġham liye haiñ ham
samajh lī ab haqīqat rahbarān-e-mulk kī sab ne
namak chuTkī meñ le kar kah rahe marham liye haiñ ham
hazaron mushkilen hain aur lakhon gham liye hain hum
mohabbat ka magar hathon mein ek parcham liye hain hum
wo naghme jo KHizan ko phir bahaar-e-nau banate hain
unhi giton ki honTon par nai sargam liye hain hum
hamare dil mein hai jazbaat ka tapta hua suraj
jo palkon se chuni wo dard ki shabnam liye hain hum
mubarak ho KHirad walon tumhein fikr-o-nazar apni
hain ahl-e-dil bahaar-e-ishq ke mausam liye hain hum
palaTiye gar kabhi fursat mile auraq mazi ke
hamari kya sifat bhi aur kya kya gham liye hain hum
samajh li ab haqiqat rahbaran-e-mulk ki sab ne
namak chuTki mein le kar kah rahe marham liye hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.