hazaron parde mein parda nahin hai
hazāroñ parde meñ parda nahīñ hai
vo jalva ho ke bhī jalva nahīñ hai
vajūd-e-ġhair hai apnā nahīñ hai
vahī qatra hai jo dariyā nahīñ hai
anal-haq meñ burā.ī kyā hai vaa.iz
mohabbat meñ ḳhudā kyā kyā nahīñ hai
luTā de jalva ai husn-e-sarāpā
nigāhoñ par koī pahra nahīñ hai
safīrān-e-mohabbat jānte haiñ
ki manzil hai magar rasta nahīñ hai
ajab ye mas.ala hai mai-kashoñ kā
kabhī saaqī kabhī sahbā nahīñ hai
guloñ ke dam se hai pindār-e-hastī
abhī nik.hat ne ye samjhā nahīñ hai
mirī āñkhoñ kī duniyā ko to dekho
jahāñ tum ne abhī dekhā nahīñ hai
use jis naam se chāho pukāro
mohabbat kā koī firqa nahīñ hai
mirī har saañs hai mansūb us se
mirī qismat meñ jo likkhā nahīñ hai
ġham-e-māzī pe mātam karne vaalo
ġham-e-māzī ġham-e-fardā nahīñ hai
hazaron parde mein parda nahin hai
wo jalwa ho ke bhi jalwa nahin hai
wajud-e-ghair hai apna nahin hai
wahi qatra hai jo dariya nahin hai
anal-haq mein burai kya hai waiz
mohabbat mein KHuda kya kya nahin hai
luTa de jalwa ai husn-e-sarapa
nigahon par koi pahra nahin hai
safiran-e-mohabbat jaante hain
ki manzil hai magar rasta nahin hai
ajab ye masala hai mai-kashon ka
kabhi saqi kabhi sahba nahin hai
gulon ke dam se hai pindar-e-hasti
abhi nikhat ne ye samjha nahin hai
meri aankhon ki duniya ko to dekho
jahan tum ne abhi dekha nahin hai
use jis nam se chaho pukaro
mohabbat ka koi firqa nahin hai
meri har sans hai mansub us se
meri qismat mein jo likkha nahin hai
gham-e-mazi pe matam karne walo
gham-e-mazi gham-e-farda nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.