hazaron ranj mile sainkaDon malal mile
hazāroñ rañj mile saiñkaḌoñ malāl mile
ham apne aap se jab bhī mile niDhāl mile
har ek shaḳhs se milnā kahāñ munāsib thā
mile unhīñ se jahāñ dil mile ḳhayāl mile
vafā kī raah meñ kis par na tohmateñ aa.iiñ
koī to aisī zamāne meñ ik misāl mile
nahīñ hai tere jahāñ meñ koī bhī shai aisī
jise uruuj mile aur na phir zavāl mile
maiñ apne aap se bāhar nikal nahīñ paayā
jo tū milā to mujhe mere hāl-chāl mile
javāb DhūñDne niklā jo kal mirā maazī
laboñ pe haal ke is ko na.e savāl mile
mirī talāsh jahāñ jā ke ḳhatm ho 'sālim'
kahīñ to aisā koī sāhab-e-kamāl mile
hazaron ranj mile sainkaDon malal mile
hum apne aap se jab bhi mile niDhaal mile
har ek shaKHs se milna kahan munasib tha
mile unhin se jahan dil mile KHayal mile
wafa ki rah mein kis par na tohmaten aain
koi to aisi zamane mein ek misal mile
nahin hai tere jahan mein koi bhi shai aisi
jise uruj mile aur na phir zawal mile
main apne aap se bahar nikal nahin paya
jo tu mila to mujhe mere haal-chaal mile
jawab DhunDne nikla jo kal mera mazi
labon pe haal ke is ko nae sawal mile
meri talash jahan ja ke KHatm ho 'salim'
kahin to aisa koi sahab-e-kamal mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.