hazaron ranj-o-gham de kar KHushi ki baat karte hain
hazaron ranj-o-gham de kar KHushi ki baat karte hain
Maqbool Ahmad Maqbool
MORE BYMaqbool Ahmad Maqbool
hazāroñ ranj-o-ġham de kar ḳhushī kī baat karte haiñ
hai ḳhanjar āstīñ meñ dostī kī baat karte haiñ
paḌeñ chhāle zabāñ par ġhair kā jo naam bhī le leñ
ki ham to aap ke haiñ aap hī kī baat karte haiñ
samajh meñ kuchh nahīñ aatā haiñ dīvāne ki farzāne
ḳhudī meñ jī rahe haiñ be-ḳhudī kī baat karte haiñ
koī ham sā na hogā pyaas kā maarā zamāne meñ
samundar pī chuke aur tishnagī kī baat karte haiñ
jo ḳhud vāqif nahīñ haiñ zindagānī kī haqīqat se
vahī ham se usūl-e-zindagī kī baat karte haiñ
junūñ-parvarda logoñ meñ junūñ kī baat hotī hai
ḳhirad ke pāsbāñ to āgahī kī baat karte haiñ
kiyā karte haiñ murda-dil hamesha maut kī bāteñ
jo zinda-dil haiñ vo to zindagī kī baat karte haiñ
hazaron ranj-o-gham de kar KHushi ki baat karte hain
hai KHanjar aastin mein dosti ki baat karte hain
paDen chhaale zaban par ghair ka jo nam bhi le len
ki hum to aap ke hain aap hi ki baat karte hain
samajh mein kuchh nahin aata hain diwane ki farzane
KHudi mein ji rahe hain be-KHudi ki baat karte hain
koi hum sa na hoga pyas ka mara zamane mein
samundar pi chuke aur tishnagi ki baat karte hain
jo KHud waqif nahin hain zindagani ki haqiqat se
wahi hum se usul-e-zindagi ki baat karte hain
junun-parwarda logon mein junun ki baat hoti hai
KHirad ke pasban to aagahi ki baat karte hain
kiya karte hain murda-dil hamesha maut ki baaten
jo zinda-dil hain wo to zindagi ki baat karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.