hazaron ranj sahte hain hazaron gham uThate hain
hazāroñ ranj sahte haiñ hazāroñ ġham uThāte haiñ
hamārā hausla dekho magar ham muskurāte haiñ
nivāloñ kī sahī qīmat vahī mazdūr samjhegā
ki jis ke dhuup meñ hāthoñ ke chhāle phuuT jaate haiñ
luTā dete haiñ ham jin par kamā.ī ḳhuuñ pasīne kī
vahī bachche buḌhāpe meñ hameñ āñkheñ dikhāte haiñ
gire shāḳhoñ se pattoñ kā vahī to dard samjheñge
diloñ ke khel meñ jo log aksar TuuT jaate haiñ
hazaron ranj sahte hain hazaron gham uThate hain
hamara hausla dekho magar hum muskuraate hain
niwalon ki sahi qimat wahi mazdur samjhega
ki jis ke dhup mein hathon ke chhaale phuT jate hain
luTa dete hain hum jin par kamai KHun pasine ki
wahi bachche buDhape mein hamein aankhen dikhate hain
gire shaKHon se patton ka wahi to dard samjhenge
dilon ke khel mein jo log aksar TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.