hazaron sal mein utri teri taswir kaghaz par
hazāroñ saal meñ utrī tirī tasvīr kāġhaz par
vah.y kā silsila jaise huā tahrīr kāġhaz par
kahānī-kār ne mujh ko nikālā jab kahānī se
nikal aa.ī thī shamshīreñ chale the tiir kāġhaz par
hameñ mazmūn likhnā thā mohabbat aur vahshat pe
so likh aa.e the ham bhī phir kalām-e-'mīr' kāġhaz par
mirā mahbūb shā.ir hai kare hai vaar ġhazloñ se
qalam kī dhaar se apne rakhe dil chiir kāġhaz par
hazaron sal mein utri teri taswir kaghaz par
wahy ka silsila jaise hua tahrir kaghaz par
kahani-kar ne mujh ko nikala jab kahani se
nikal aai thi shamshiren chale the tir kaghaz par
hamein mazmun likhna tha mohabbat aur wahshat pe
so likh aae the hum bhi phir kalam-e-'mir' kaghaz par
mera mahbub shair hai kare hai war ghazlon se
qalam ki dhaar se apne rakhe dil chir kaghaz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.