hazaron sar kisi ke panw par dekhe nahin jate
hazāroñ sar kisī ke paañv par dekhe nahīñ jaate
nizām-e-zar ke ye zer-o-zabar dekhe nahīñ jaate
ahāte ye rivājoñ ke ye dīvāreñ samājoñ kī
diloñ ke shahr meñ patthar ke ghar dekhe nahīñ jaate
ulaT do in naqāboñ ko ye parde chaak kar Daalo
ghaTāoñ ke lapeTe meñ qamar dekhe nahīñ jaate
masarrat jin se bargashta aziyyat jaan kā hissa
ye lāshe zindagī ke dosh par dekhe nahīñ jaate
kisī kā zikr hī chheḌo ki dil ke daaġh raushan hoñ
ye muñh kaale añdhere raat bhar dekhe nahīñ jaate
lifāfa sirf badlā hai abhī mazmūñ nahīñ badlā
vahī rahbar ba-andāz-e-digar dekhe nahīñ jaate
nazar se jab nazar miltī hai 'ālam aur hotā hai
utar aate haiñ vo dil meñ magar dekhe nahīñ jaate
kisī kā dil hathelī par tumhārī kyā qayāmat hai
ye TukḌe kāñch ke yuuñ aañch par dekhe nahīñ jaate
kabhī āñkheñ kabhī ham dil kabhī jaañ tak bichhāte haiñ
guloñ ke paañv 'afsar' ḳhaak par dekhe nahīñ jaate
hazaron sar kisi ke panw par dekhe nahin jate
nizam-e-zar ke ye zer-o-zabar dekhe nahin jate
ahate ye riwajon ke ye diwaren samajon ki
dilon ke shahr mein patthar ke ghar dekhe nahin jate
ulaT do in naqabon ko ye parde chaak kar Dalo
ghaTaon ke lapeTe mein qamar dekhe nahin jate
masarrat jin se bargashta aziyyat jaan ka hissa
ye lashe zindagi ke dosh par dekhe nahin jate
kisi ka zikr hi chheDo ki dil ke dagh raushan hon
ye munh kale andhere raat bhar dekhe nahin jate
lifafa sirf badla hai abhi mazmun nahin badla
wahi rahbar ba-andaz-e-digar dekhe nahin jate
nazar se jab nazar milti hai 'alam aur hota hai
utar aate hain wo dil mein magar dekhe nahin jate
kisi ka dil hatheli par tumhaari kya qayamat hai
ye TukDe kanch ke yun aanch par dekhe nahin jate
kabhi aankhen kabhi hum dil kabhi jaan tak bichhate hain
gulon ke panw 'afsar' KHak par dekhe nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.