hazaron uljhanen hai is dil-e-KHuddar ke aage
hazāroñ uljhaneñ hai is dil-e-ḳhuddār ke aage
magar ye haar jaatā hai tire isrār ke aage
tirī zulfoñ ke aage ye ghaTā.eñ haath maltī haiñ
guloñ ke rañg phīke haiñ tire ruḳhsār ke aage
mohabbat kā karūñ iz.hār lekin soch luuñ pahle
kahūñgā kyā achānak maiñ tire inkār ke aage
havā.eñ haiñ muḳhālif par rakhī hai thaam kar ham ne
hamārī zindagī qurbān is dastār ke aage
bajā hogā tirā da.avā abhī se maan ke ham bhī
batā kyā fātiha paḌhne lageñ bīmār ke aage
diye ko jab kabhī sūraj banāyā jā nahīñ saktā
kahānī hausloñ kī kyoñ paḌheñ lāchār ke aage
zamāne sun tirī ye phislaneñ chalne nahīñ detīñ
kahīñ bhī ham nahīñ Tikte tirī raftār ke aage
hazaron uljhanen hai is dil-e-KHuddar ke aage
magar ye haar jata hai tere israr ke aage
teri zulfon ke aage ye ghaTaen hath malti hain
gulon ke rang phike hain tere ruKHsar ke aage
mohabbat ka karun izhaar lekin soch lun pahle
kahunga kya achanak main tere inkar ke aage
hawaen hain muKHalif par rakhi hai tham kar hum ne
hamari zindagi qurban is dastar ke aage
baja hoga tera dawa abhi se man ke hum bhi
bata kya fatiha paDhne lagen bimar ke aage
diye ko jab kabhi suraj banaya ja nahin sakta
kahani hauslon ki kyon paDhen lachaar ke aage
zamane sun teri ye phislanen chalne nahin detin
kahin bhi hum nahin Tikte teri raftar ke aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.