hazaron zaKHm dil mein kar rahe tir-e-nazar paida
hazāroñ zaḳhm dil meñ kar rahe tīr-e-nazar paidā
baḌī mushkil se faulādī kahīñ hote jigar paidā
hazāroñ hī tamannā.eñ ikaTThā haiñ har ik dil meñ
baḌī mushkil se terī aarzū kartī hai ghar paidā
hazāroñ haath uThte haiñ hazāroñ ghuTne Tikte haiñ
baḌī mushkil se hotā hai davāoñ meñ asar paidā
hazāroñ naam rakkhe mere īmāñ ko zamāna ne
baḌī mushkil se maiñ paayā yahāñ kuchh naam kar paidā
hazāroñ āñdhiyāñ aatī haiñ aur patthar baraste haiñ
baḌī mushkil se kar paatā hai mīThe phal shajar paidā
hazāroñ sher jab shā.ir jigar ke ḳhuuñ se likhtā hai
baḌī mushkil se hotā hai ġhazal meñ kuchh asar paidā
hazāroñ ashk āñkhoñ meñ 'nayā' aate palak tak haiñ
baḌī mushkil se hotā siip se hai ik guhar paidā
hazaron zaKHm dil mein kar rahe tir-e-nazar paida
baDi mushkil se fauladi kahin hote jigar paida
hazaron hi tamannaen ikaTTha hain har ek dil mein
baDi mushkil se teri aarzu karti hai ghar paida
hazaron hath uThte hain hazaron ghuTne Tikte hain
baDi mushkil se hota hai dawaon mein asar paida
hazaron nam rakkhe mere iman ko zamana ne
baDi mushkil se main paya yahan kuchh nam kar paida
hazaron aandhiyan aati hain aur patthar baraste hain
baDi mushkil se kar pata hai miThe phal shajar paida
hazaron sher jab shair jigar ke KHun se likhta hai
baDi mushkil se hota hai ghazal mein kuchh asar paida
hazaron ashk aankhon mein 'naya' aate palak tak hain
baDi mushkil se hota sip se hai ek guhar paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.