hazrat-e-mir ke shagird hain ruhani hum
hazrat-e-mīr ke shāgird haiñ rūhānī ham
sher taḳhlīq kiyā karte haiñ lā-fānī ham
ham jo dariyā ke kināroñ pe rahā karte haiñ
ishq kī mauj meñ bahte haiñ ba-āsānī ham
terī shādābī-e-ḳhātir kī duā karte haiñ
jab bhī āñchal ko tire dekhte haiñ dhānī ham
ya.anī us aadmī se koī hameñ matlab hai
bāteñ har ek se karte nahīñ lā ya.anī ham
vaqt ke saath har ik chiiz badal jaatī hai
pahle kahte the saraiki ko multānī ham
aisā lagtā hai ki sab apne sivā jāhil haiñ
baat jab jaan liyā karte haiñ anjānī ham
ham tire baal bikhereñge khule sāhil par
tere hisse kī tujhe deñge pareshānī ham
zindagī zaḳhm to degī kabhī yāroñ ko bhī
muTThiyāñ bhar ke kareñge namak-afshānī ham
ham se laḌkī koī iThlā ke jo bāteñ kar le
use guḌiyā hī samajh lete haiñ jāpānī ham
dekh āshiq haiñ tire baap ke naukar to nahīñ
jo tire husn kī karte raheñ darbānī ham
sab sitāroñ se nazar aaj bachā kar 'yāvar'
chuum aa.e haiñ koī chāñd sī peshānī ham
hazrat-e-mir ke shagird hain ruhani hum
sher taKHliq kiya karte hain la-fani hum
hum jo dariya ke kinaron pe raha karte hain
ishq ki mauj mein bahte hain ba-asani hum
teri shadabi-e-KHatir ki dua karte hain
jab bhi aanchal ko tere dekhte hain dhani hum
yani us aadmi se koi hamein matlab hai
baaten har ek se karte nahin la yani hum
waqt ke sath har ek chiz badal jati hai
pahle kahte the saraiki ko multani hum
aisa lagta hai ki sab apne siwa jahil hain
baat jab jaan liya karte hain anjaani hum
hum tere baal bikherenge khule sahil par
tere hisse ki tujhe denge pareshani hum
zindagi zaKHm to degi kabhi yaron ko bhi
muTThiyan bhar ke karenge namak-afshani hum
hum se laDki koi iThla ke jo baaten kar le
use guDiya hi samajh lete hain japani hum
dekh aashiq hain tere bap ke naukar to nahin
jo tere husn ki karte rahen darbani hum
sab sitaron se nazar aaj bacha kar 'yawar'
chum aae hain koi chand si peshani hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.