hichkiyan le ke na ro qabr pe rone wale
hichkiyāñ le ke na ro qabr pe rone vaale
jaag jaa.eñ na kahīñ chain se sone vaale
nā-ḳhudāoñ pe yaqīñ soch-samajh kar karnā
lā ke sāhil pe Dubote haiñ Dubone vaale
fasl-e-nau talḳh na hogī to bhalā kyā hogī
biij zahrīle agar bo.eñge bone vaale
qatra qatra mire is ḳhuuñ kī gavāhī degā
laakh dāman se lahū dho mirā dhone vaale
kyā milegā tujhe zardār se nafrat ke sivā
pairahan apnā pasīne meñ bhigone vaale
dekh ai gardish-e-daurāñ nahīñ Takrā ham se
sar pe tanhā.ī kā ham bojh haiñ Dhone vaale
krishn kī rādhā se kah do ki zamāne meñ 'mayank'
ab vo andāz kahāñ shyām salone vaale
hichkiyan le ke na ro qabr pe rone wale
jag jaen na kahin chain se sone wale
na-KHudaon pe yaqin soch-samajh kar karna
la ke sahil pe Dubote hain Dubone wale
fasl-e-nau talKH na hogi to bhala kya hogi
bij zahrile agar boenge bone wale
qatra qatra mere is KHun ki gawahi dega
lakh daman se lahu dho mera dhone wale
kya milega tujhe zardar se nafrat ke siwa
pairahan apna pasine mein bhigone wale
dekh ai gardish-e-dauran nahin Takra hum se
sar pe tanhai ka hum bojh hain Dhone wale
krishn ki radha se kah do ki zamane mein 'mayank'
ab wo andaz kahan shyam salone wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.