hifazat gar nahin hoti imarat TuT jati hai
hifāzat gar nahīñ hotī imārat TuuT jaatī hai
agar shīsha shikasta ho to sūrat TuuT jaatī hai
tumhārī dil-navāzī gaañv se jaane nahīñ detī
tumhāre āñsuoñ se merī hijrat TuuT jaatī hai
tumhārā haath kāñdhe par ho to darbār chaltā hai
haTā lete ho jab tum haath himmat TuuT jaatī hai
ziyāda dūriyāñ bhī fāsle aksar baḌhātī haiñ
bahut nazdīk rahne se bhī ulfat TuuT jaatī hai
bichhaḌ ke tum se jab jab bhī sunī hai rail kī siiTī
mere dil par mirī jaañ par qayāmat TuuT jaatī hai
tumheñ nazdīk bhī rakhnā mire bas meñ nahīñ hotā
tumheñ jab duur kartā huuñ qarābat TuuT jaatī hai
bahut āsān thā pahle tavāf-e-kūcha-e-jānāñ
ki ab to biich raste meñ masāfat TuuT jaatī hai
bhale logoñ se bāteñ talḳh lahje meñ nahīñ karte
bhale logoñ kī bhī aksar sharāfat TuuT jaatī hai
hifazat gar nahin hoti imarat TuT jati hai
agar shisha shikasta ho to surat TuT jati hai
tumhaari dil-nawazi ganw se jaane nahin deti
tumhaare aansuon se meri hijrat TuT jati hai
tumhaara hath kandhe par ho to darbar chalta hai
haTa lete ho jab tum hath himmat TuT jati hai
ziyaada duriyan bhi fasle aksar baDhati hain
bahut nazdik rahne se bhi ulfat TuT jati hai
bichhaD ke tum se jab jab bhi suni hai rail ki siTi
mere dil par meri jaan par qayamat TuT jati hai
tumhein nazdik bhi rakhna mere bas mein nahin hota
tumhein jab dur karta hun qarabat TuT jati hai
bahut aasan tha pahle tawaf-e-kucha-e-jaanan
ki ab to bich raste mein masafat TuT jati hai
bhale logon se baaten talKH lahje mein nahin karte
bhale logon ki bhi aksar sharafat TuT jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.