hijab-e-dastan mein humne kuchh kirdar rakkhe hain
hijāb-e-dāstāñ meñ ham ne kuchh kirdār rakkhe haiñ
laboñ kī muskurāhaT meñ ka.ī āzār rakkhe haiñ
maiñ aksar rāste meñ DhūñDhtā huuñ harf-e-pārīna
bachā kar dil meñ ham ne ab bhī kuchh āzār rakkhe haiñ
chale aao ki dhaḌkan saañs se sakrāt māñge hai
vasiyyat meñ tumhāre naam kuchh ash.ār rakkhe haiñ
bahut itrātā hai 'zāhid' banā ye jaan ke ab bhī
zamāne ne qafas meñ bhī ka.ī muḳhtār rakkhe haiñ
hijab-e-dastan mein hum ne kuchh kirdar rakkhe hain
labon ki muskurahaT mein kai aazar rakkhe hain
main aksar raste mein DhunDhta hun harf-e-parina
bacha kar dil mein hum ne ab bhi kuchh aazar rakkhe hain
chale aao ki dhaDkan sans se sakraat mange hai
wasiyyat mein tumhaare nam kuchh ashaar rakkhe hain
bahut itraata hai 'zahid' bana ye jaan ke ab bhi
zamane ne qafas mein bhi kai muKHtar rakkhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.