hijab-e-jism-o-jaan mein husn-e-pinhan dekh lete hain
hijāb-e-jism-o-jāñ meñ husn-e-pinhāñ dekh lete haiñ
nazar vaale tumheñ tā-had-e-imkāñ dekh lete haiñ
asīr-e-zulf ho kar rū-e-jānāñ dekh lete haiñ
savād-e-kufr meñ bhī nūr-e-īmāñ dekh lete haiñ
zamāna merā hāsil hai maiñ hāsil huuñ zamāne kā
jo ahl-e-bazm haiñ mahfil kā sāmāñ dekh lete haiñ
hamāre Dūbne kā vāqi'a jab yaad aatā hai
jo sāhil par bhī haiñ sāhil kā dāmāñ dekh lete haiñ
dil is par aarzū āsūda ho jaatā hai duniyā se
kabhī gar manzar-e-gor-e-ġharībāñ dekh lete haiñ
guzarte haiñ janāb-e-shaiḳh jab mai-ḳhāna se ho kar
nahīñ kahte zabāñ se kuchh magar haañ dekh lete haiñ
tirā hī jalva go dair-o-haram donoñ meñ hai lekin
jo ahl-e-dil haiñ farq-e-kufr-o-īmāñ dekh lete haiñ
zamīñ se āsmāñ se go kahīñ bijlī gire lekin
asīrān-e-qafas sū-e-gulistāñ dekh lete haiñ
pahuñch jaate haiñ ham 'afqar' vahāñ zauq-e-tabī.at se
jo shāyān-e-adab bazm-e-suḳhan-dāñ dekh lete haiñ
hijab-e-jism-o-jaan mein husn-e-pinhan dekh lete hain
nazar wale tumhein ta-had-e-imkan dekh lete hain
asir-e-zulf ho kar ru-e-jaanan dekh lete hain
sawad-e-kufr mein bhi nur-e-iman dekh lete hain
zamana mera hasil hai main hasil hun zamane ka
jo ahl-e-bazm hain mahfil ka saman dekh lete hain
hamare Dubne ka waqi'a jab yaad aata hai
jo sahil par bhi hain sahil ka daman dekh lete hain
dil is par aarzu aasuda ho jata hai duniya se
kabhi gar manzar-e-gor-e-ghariban dekh lete hain
guzarte hain janab-e-shaiKH jab mai-KHana se ho kar
nahin kahte zaban se kuchh magar han dekh lete hain
tera hi jalwa go dair-o-haram donon mein hai lekin
jo ahl-e-dil hain farq-e-kufr-o-iman dekh lete hain
zamin se aasman se go kahin bijli gire lekin
asiran-e-qafas su-e-gulistan dekh lete hain
pahunch jate hain hum 'afqar' wahan zauq-e-tabiat se
jo shayan-e-adab bazm-e-suKHan-dan dekh lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.