hijab-e-rang-o-bu hai aur main hun
hijāb-e-rañg-o-bū hai aur maiñ huuñ
ye dhokā thā ki tū hai aur maiñ huuñ
maqām-e-be-niyāzī aa gayā hai
vo jān-e-ārzū hai aur maiñ huuñ
fareb-e-shauq se aksar ye samjhā
ki vo begāna-ḳhū hai aur maiñ huuñ
kabhī saudā thā terī justujū kā
ab apnī justujū hai aur maiñ huuñ
kabhī dekhā thā ik ḳhvāb-e-mohabbat
ab us kī aarzū hai aur maiñ huuñ
faqat ik tum nahīñ to kuchh nahīñ hai
chaman hai aabjū hai aur maiñ huuñ
phir us ke baad hai is hū kā aalam
bas ik had tak hī tū hai aur maiñ huuñ
hijab-e-rang-o-bu hai aur main hun
ye dhoka tha ki tu hai aur main hun
maqam-e-be-niyazi aa gaya hai
wo jaan-e-arzu hai aur main hun
fareb-e-shauq se aksar ye samjha
ki wo begana-KHu hai aur main hun
kabhi sauda tha teri justuju ka
ab apni justuju hai aur main hun
kabhi dekha tha ek KHwab-e-mohabbat
ab us ki aarzu hai aur main hun
faqat ek tum nahin to kuchh nahin hai
chaman hai aabju hai aur main hun
phir us ke baad hai is hu ka aalam
bas ek had tak hi tu hai aur main hun
This content features in following collection(s)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.