hijab koi nahin hai naqab koi nahin
hijāb koī nahīñ hai naqāb koī nahīñ
mirī khulī huī āñkhoñ meñ ḳhvāb koī nahīñ
hai bas sukūñ hī sukūñ iztirāb koī nahīñ
is inqalāb ke baad inqalāb koī nahīñ
hayāt-e-ishq meñ ye vaqfa-e-sukūñ kaisā
savāl koī nahīñ hai javāb koī nahīñ
jahān-e-ilm kā yaaro ajiib hai dastūr
ki madrase to bahut haiñ nisāb koī nahīñ
shab-e-siyah meñ bhalā kaun aane vaalā hai
koī nahīñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb koī nahīñ
talab kī raah meñ har shaḳhs hai barābar kā
yahāñ sabhī haiñ samundar sarāb koī nahīñ
shab-e-firāq kuchh is tarah mutma.in huuñ 'ziyā'
ki jaise dīda-o-dil par azaab koī nahīñ
hijab koi nahin hai naqab koi nahin
meri khuli hui aankhon mein KHwab koi nahin
hai bas sukun hi sukun iztirab koi nahin
is inqalab ke baad inqalab koi nahin
hayat-e-ishq mein ye waqfa-e-sukun kaisa
sawal koi nahin hai jawab koi nahin
jahan-e-ilm ka yaro ajib hai dastur
ki madrase to bahut hain nisab koi nahin
shab-e-siyah mein bhala kaun aane wala hai
koi nahin dil-e-KHana-KHarab koi nahin
talab ki rah mein har shaKHs hai barabar ka
yahan sabhi hain samundar sarab koi nahin
shab-e-firaq kuchh is tarah mutmain hun 'ziya'
ki jaise dida-o-dil par azab koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.