hijab mein habib hai ye ishq bhi ajib hai
hijāb meñ habīb hai ye ishq bhī ajiib hai
ki sāmne raqīb hai ye ishq bhī ajiib hai
kabhī use bulāo tum koī ġhazal likhāo tum
bahut baḌā adiib hai ye ishq bhī ajiib hai
paḌā huā azal se hai surāġh-e-dil ke pīchhe jo
yahī vo andalīb hai ye ishq bhī ajiib hai
maza jo dard meñ hai vo kahīñ mujhe milā nahīñ
yahī mirā nasīb hai ye ishq bhī ajiib hai
ye āshiqoñ kā mashġhala ye ārifoñ kā raaz hai
hakīm hai ariib hai ye ishq bhī ajiib hai
ibādatoñ meñ rāt-din guzārte the jo kabhī
gale meñ ab salīb hai ye ishq bhī ajiib hai
fanā hue ho ishq meñ to koī ġham nahīñ 'hayāt'
baqā bhī anqarīb hai ye ishq bhī ajiib hai
hijab mein habib hai ye ishq bhi ajib hai
ki samne raqib hai ye ishq bhi ajib hai
kabhi use bulao tum koi ghazal likhao tum
bahut baDa adib hai ye ishq bhi ajib hai
paDa hua azal se hai suragh-e-dil ke pichhe jo
yahi wo andalib hai ye ishq bhi ajib hai
maza jo dard mein hai wo kahin mujhe mila nahin
yahi mera nasib hai ye ishq bhi ajib hai
ye aashiqon ka mashghala ye aarifon ka raaz hai
hakim hai arib hai ye ishq bhi ajib hai
ibaadaton mein raat-din guzarte the jo kabhi
gale mein ab salib hai ye ishq bhi ajib hai
fana hue ho ishq mein to koi gham nahin 'hayat'
baqa bhi anqarib hai ye ishq bhi ajib hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.