hijab walon se wo be-hijab ho na saka
hijāb vāloñ se vo be-hijāb ho na sakā
vo sāmne thā magar be-naqāb ho na sakā
vajūd-e-ḳhāk kā insāñ ḳhitāb ho na sakā
ye zarra ġhair-e-karam āftāb ho na sakā
karam vo tuur pe ik be-niyāz-e-jalva par
vo be-niyāzī thī jis kā javāb ho na sakā
uThā ke parda chhupā kasrat-e-tajallī meñ
vo be-naqāb huā be-naqāb ho na sakā
tamām umr rahe dekhte hayāt ke ḳhvāb
hamārī āñkhoñ meñ ye ḳhvāb ḳhvāb ho na sakā
rahī fareb-e-tasavvur ye raftanī duniyā
sarāb jaise kabhī jū-e-āb ho na sakā
zamīr zāhir-o-bātin se ho gayā āgāh
ḳharāb bāda-e-irfāñ ḳharāb ho na sakā
mire karīm ne baḳhshā isī bahāne se
mire gunāhoñ kā jab kuchh hisāb ho na sakā
abhī kamī hai tire zauq-e-ishq meñ 'aiman'
lahū huā tirā aañsū sharāb ho na sakā
hijab walon se wo be-hijab ho na saka
wo samne tha magar be-naqab ho na saka
wajud-e-KHak ka insan KHitab ho na saka
ye zarra ghair-e-karam aaftab ho na saka
karam wo tur pe ek be-niyaz-e-jalwa par
wo be-niyazi thi jis ka jawab ho na saka
uTha ke parda chhupa kasrat-e-tajalli mein
wo be-naqab hua be-naqab ho na saka
tamam umr rahe dekhte hayat ke KHwab
hamari aankhon mein ye KHwab KHwab ho na saka
rahi fareb-e-tasawwur ye raftani duniya
sarab jaise kabhi ju-e-ab ho na saka
zamir zahir-o-baatin se ho gaya aagah
KHarab baada-e-irfan KHarab ho na saka
mere karim ne baKHsha isi bahane se
mere gunahon ka jab kuchh hisab ho na saka
abhi kami hai tere zauq-e-ishq mein 'aiman'
lahu hua tera aansu sharab ho na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.