hijazi le gai humne bhulae taur-e-turkani
hijāzī le ga.ī ham ne bhulā.e taur-e-turkānī
bachī le de ke ham meñ ab faqat apnoñ kī man-mānī
jamāl-e-sub.h paidā kar ki nāzir ḳhud-baḳhud aa.eñ
uḌā lahje se vo ḳhushbū lage jo bū-e-bustānī
hukūmat kā tamāsha hai imārat kā takabbur hai
jo kal āzād the vo aaj ban baiThe haiñ zindānī
sañbhal ai naujavān ab vaqt bhī nazdīk aatā hai
mujhe to ḳhuuñ rulātī hai lahū kī tere arzānī
ta.ayyush meñ gañvā baiThegā mīrās-e-salaf sun le
jafā-kash ban to phir terā hai ye taḳht-e-sulaimānī
kahāñ terī hamiyyat aur ġhairat hai vahī jis se
Dare the qaisar-o-kisrā girā thā tāj-e-ḳhāqānī
halākat-ḳhez daldal meñ utārā kis ne ummat ko
batā 'dānish' vo jur.at thī ki thā andāz-e-rahbānī
hijazi le gai hum ne bhulae taur-e-turkani
bachi le de ke hum mein ab faqat apnon ki man-mani
jamal-e-subh paida kar ki nazir KHud-baKHud aaen
uDa lahje se wo KHushbu lage jo bu-e-bustani
hukumat ka tamasha hai imarat ka takabbur hai
jo kal aazad the wo aaj ban baiThe hain zindani
sanbhal ai naujawan ab waqt bhi nazdik aata hai
mujhe to KHun rulati hai lahu ki tere arzani
tayyush mein ganwa baiThega miras-e-salaf sun le
jafa-kash ban to phir tera hai ye taKHt-e-sulaimani
kahan teri hamiyyat aur ghairat hai wahi jis se
Dare the qaisar-o-kisra gira tha taj-e-KHaqani
halakat-KHez daldal mein utara kis ne ummat ko
bata 'danish' wo jurat thi ki tha andaz-e-rahbani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.