hijr aasan bana liya humne
hijr āsāñ banā liyā ham ne
dasht meñ dil lagā liyā ham ne
saañs aadhā tumhāre saath liyā
aur aadhā bachā liyā ham ne
terā ġham thā masīh o mehdī hameñ
is ko zinda uThā liyā ham ne
paanī se toḌ yā uThā tesha
dil ko patthar banā liyā ham ne
zikr aaya tumhārī nagrī kā
aur sar ko jhukā liyā ham ne
koī aafat zarūr TuuTī hai
jab bhī nām-e-ḳhudā liyā ham ne
hijr aasan bana liya hum ne
dasht mein dil laga liya hum ne
sans aadha tumhaare sath liya
aur aadha bacha liya hum ne
tera gham tha masih o mehdi hamein
is ko zinda uTha liya hum ne
pani se toD ya uTha tesha
dil ko patthar bana liya hum ne
zikr aaya tumhaari nagri ka
aur sar ko jhuka liya hum ne
koi aafat zarur TuTi hai
jab bhi nam-e-KHuda liya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.