hijr-asar tha ek shahr tah-e-dil na raha
hijr-āsār thā ik shahr tah-e-dil na rahā
aa ga.e tum to koī chaah ke qābil na rahā
vaqt kī kaunsī jihatoñ meñ tujhe DhūñDhtī maiñ
kahkashāñ dil na huī ishq dar-e-dil na rahā
mil ki ab jā ke mayassar huī puurī ḳhalvat
aa ki ab dasht-e-badan biich meñ haa.il na rahā
jaam gardish meñ usī jur.a-e-be-nām se the
chashm-e-sāqī jo bujhī nashsha-e-mahfil na rahā
ḳhaak uḌāne ko kahāñ jaa.e badan kī miTTī
dil hī jab jism ke āzār meñ shāmil na rahā
us ke dekhe se damak uTThī purānī tasvīr
aks ḳhud bol uThe aa.ina ghā.il na rahā
tīsre ishq ne zinda kiyā āḳhir mujh ko
vo jo ik marhala dushvār thā mushkil na rahā
hijr-asar tha ek shahr tah-e-dil na raha
aa gae tum to koi chah ke qabil na raha
waqt ki kaunsi jihaton mein tujhe DhunDhti main
kahkashan dil na hui ishq dar-e-dil na raha
mil ki ab ja ke mayassar hui puri KHalwat
aa ki ab dasht-e-badan bich mein hail na raha
jam gardish mein usi jura-e-be-nam se the
chashm-e-saqi jo bujhi nashsha-e-mahfil na raha
KHak uDane ko kahan jae badan ki miTTi
dil hi jab jism ke aazar mein shamil na raha
us ke dekhe se damak uTThi purani taswir
aks KHud bol uThe aaina ghail na raha
tisre ishq ne zinda kiya aaKHir mujh ko
wo jo ek marhala dushwar tha mushkil na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.