hijr de ya visal de mujhko
hijr de yā visāl de mujh ko
ġham koī lā-zavāl de mujh ko
bhūltī jā rahī huuñ maiñ sab kuchh
aur kuchh roz Taal de mujh ko
apnī sūrat tarāsh le mujh meñ
ab mire ḳhadd-o-ḳhāl de mujh ko
pahle mujh ko Dubo añdheroñ meñ
phir kiran sā uchhāl de mujh ko
saa.e jis kī pakaḌ meñ aa jaa.eñ
raushnī kā vo jaal de mujh ko
hijr de ya visal de mujh ko
gham koi la-zawal de mujh ko
bhulti ja rahi hun main sab kuchh
aur kuchh roz Tal de mujh ko
apni surat tarash le mujh mein
ab mere KHadd-o-KHal de mujh ko
pahle mujh ko Dubo andheron mein
phir kiran sa uchhaal de mujh ko
sae jis ki pakaD mein aa jaen
raushni ka wo jal de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.