hijr dega na kabhi gham ki ghaTaen dega
hijr degā na kabhī ġham kī ghaTā.eñ degā
paas rakh kar mujhe qurbat kī sazā.eñ degā
ye khilaune nahīñ rozī kā vasīla kar do
merā bachcha tumheñ din raat du'ā.eñ degā
saarī bastī thī mire qatl kī sāzish meñ sharīk
ek munsif bhalā kis kis ko sazā.eñ degā
be-ridā shahr meñ tum ḳhud hī zarā ye socho
merī bahnoñ ko bhalā kaun ridā.eñ degā
dushmanī ḳhatm na karnā ki bharī bastī meñ
phir mujhe āḳhir-e-shab kaun sadā.eñ degā
mujh se milnā hai to phir sīdhe chale ā.iyegā
rāsta koī tumheñ daa.eñ na baa.eñ degā
kisht-e-nafrat meñ to jo peḌ ugegā 'ishrat'
saaya degā nahīñ zahrīlī havā.eñ degā
hijr dega na kabhi gham ki ghaTaen dega
pas rakh kar mujhe qurbat ki sazaen dega
ye khilaune nahin rozi ka wasila kar do
mera bachcha tumhein din raat du'aen dega
sari basti thi mere qatl ki sazish mein sharik
ek munsif bhala kis kis ko sazaen dega
be-rida shahr mein tum KHud hi zara ye socho
meri bahnon ko bhala kaun ridaen dega
dushmani KHatm na karna ki bhari basti mein
phir mujhe aaKHir-e-shab kaun sadaen dega
mujh se milna hai to phir sidhe chale aaiyega
rasta koi tumhein daen na baen dega
kisht-e-nafrat mein to jo peD ugega 'ishrat'
saya dega nahin zahrili hawaen dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.