hijr-e-jaanan mein baDe hi kaam ka dil ho gaya
hijr-e-jaanan mein baDe hi kaam ka dil ho gaya
Dharampal Gupta Wafa Dehlvi
MORE BYDharampal Gupta Wafa Dehlvi
hijr-e-jānāñ meñ baḌe hī kaam kā dil ho gayā
jalte jalte ye charāġh-e-rāh-e-manzil ho gayā
martaba dariyā kā ḳhud qatre ko hāsil ho gayā
qatra-e-nāchīz jab dariyā meñ shāmil ho gayā
aa ke baiThe haiñ dam-e-āḳhir mirī bālīñ pe vo
zindagī dushvār thī marnā bhī mushkil ho gayā
tiir kā paikāñ vo thā jab tak tirī chuTkī meñ thā
jab mire pahlū meñ aa baiThā mirā dil ho gayā
ġharq ho kar ziist kī kashtī Thikāne lag ga.ī
jis ko ham girdāb samjhe the vo sāhil ho gayā
baḳhshisheñ terī bahut kuchh haiñ magar ai ‘ishq-e-yār
ye bhī kyā kam hai ki ġham sahne ke qābil ho gayā
dām-e-gesū se rihā.ī us ne dī ab ai 'vafā'
jab mirā dil ḳhūgar-e-tauq-o-salāsil ho gayā
hijr-e-jaanan mein baDe hi kaam ka dil ho gaya
jalte jalte ye charagh-e-rah-e-manzil ho gaya
martaba dariya ka KHud qatre ko hasil ho gaya
qatra-e-nachiz jab dariya mein shamil ho gaya
aa ke baiThe hain dam-e-aKHir meri baalin pe wo
zindagi dushwar thi marna bhi mushkil ho gaya
tir ka paikan wo tha jab tak teri chuTki mein tha
jab mere pahlu mein aa baiTha mera dil ho gaya
gharq ho kar zist ki kashti Thikane lag gai
jis ko hum girdab samjhe the wo sahil ho gaya
baKHshishen teri bahut kuchh hain magar ai ‘ishq-e-yar
ye bhi kya kam hai ki gham sahne ke qabil ho gaya
dam-e-gesu se rihai us ne di ab ai 'wafa'
jab mera dil KHugar-e-tauq-o-salasil ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.