hijr-e-jaanan se rihai ka qarina ho gaya
hijr-e-jānāñ se rihā.ī kā qarīna ho gayā
sahl marnā ho gayā dushvār jiinā ho gayā
jo parī-paikar nazar aaya vo hai zar kā mutī.a
har diram goyā sulaimāñ kā nagīna ho gayā
kyoñ na ho aisā urūj-e-nashsha-e-mai sāqiyā
tā falak mauj-e-havā kā kyā hī ziina ho gayā
vādī-e-dil hai tajallī-gāh-e-jānāñ rāt-din
in dinoñ siina hamārā tūr-e-sīnā ho gayā
saal bhar se mus.haf-e-rū-e-sanam dekhā nahīñ
vo rajab kyā is rajab kā bhī mahīna ho gayā
yaar kī shamshīr-e-abrū is qadar hai āb-dār
teġh par ḳhajlat se har jauhar pasīna ho gayā
kaun hai us maah kā jo garm-e-nazzāra nahīñ
chashma-e-ḳhurshīd bhī ab chashm-e-bīnā ho gayā
ḳhaak hai ab aab hī fasl-e-bahārī meñ sharāb
shīsha-e-sā.at bhī mah kā ābgīna ho gayā
gaḌ ga.e gulbun zamīñ meñ dekh kar baunā sā qad
thā kaf-e-gul meñ jo zar goyā dafīna ho gayā
jis tarah mādūm hote haiñ sitāre sub.h dam
ahd-e-pīrī meñ mirā ḳhālī ḳhazīna ho gayā
partav-e-jānāñ hai mere kālbud meñ jā-e-rūh
aa.ine kī pusht goyā apnā siina ho gayā
rang-e-pāñ se sabz sonā ban ga.e kundan se gaal
mubtazal tashbīh hai sone pe miinā ho gayā
furqat-e-sāqī meñ aise ban ga.e ham pārsā
mahv ḳhātir se ḳhayāl-e-jām-o-mīnā ho gayā
hai tasavvur meñ jo mahbūb-e-ilāhī rāt-din
ka.aba-e-dil saaf ai 'nāsiḳh' madīna ho gayā
hijr-e-jaanan se rihai ka qarina ho gaya
sahl marna ho gaya dushwar jina ho gaya
jo pari-paikar nazar aaya wo hai zar ka mutia
har diram goya sulaiman ka nagina ho gaya
kyon na ho aisa uruj-e-nashsha-e-mai saqiya
ta falak mauj-e-hawa ka kya hi zina ho gaya
wadi-e-dil hai tajalli-gah-e-jaanan raat-din
in dinon sina hamara tur-e-sina ho gaya
sal bhar se mushaf-e-ru-e-sanam dekha nahin
wo rajab kya is rajab ka bhi mahina ho gaya
yar ki shamshir-e-abru is qadar hai aab-dar
tegh par KHajlat se har jauhar pasina ho gaya
kaun hai us mah ka jo garm-e-nazzara nahin
chashma-e-KHurshid bhi ab chashm-e-bina ho gaya
KHak hai ab aab hi fasl-e-bahaari mein sharab
shisha-e-saat bhi mah ka aabgina ho gaya
gaD gae gulbun zamin mein dekh kar bauna sa qad
tha kaf-e-gul mein jo zar goya dafina ho gaya
jis tarah madum hote hain sitare subh dam
ahd-e-piri mein mera KHali KHazina ho gaya
partaw-e-jaanan hai mere kalbud mein ja-e-ruh
aaine ki pusht goya apna sina ho gaya
rang-e-pan se sabz sona ban gae kundan se gal
mubtazal tashbih hai sone pe mina ho gaya
furqat-e-saqi mein aise ban gae hum parsa
mahw KHatir se KHayal-e-jam-o-mina ho gaya
hai tasawwur mein jo mahbub-e-ilahi raat-din
kaba-e-dil saf ai 'nasiKH' madina ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.