hijr-e-paiham hai kya kiya jae
hijr-e-paiham hai kyā kiyā jaa.e
mustaqil ġham hai kyā kiyā jaa.e
ek tasvīr sāmne hai magar
aañkh pur-nam hai kyā kiyā jaa.e
us kī aadat hai der kar denā
zindagī kam hai kyā kiyā jaa.e
sauñp detā havā ko ḳhaak apnī
par abhī nam hai kyā kiyā jaa.e
kaisā jhagḌā hai mere andar ye
shor har dam hai kyā kiyā jaa.e
maiñ huuñ tanhā aur aap ke haq meñ
ek aalam hai kyā kiyā jaa.e
jhuuT kā aur adl kā 'haidar'
rabt-e-bāham hai kyā kiyā jaa.e
hijr-e-paiham hai kya kiya jae
mustaqil gham hai kya kiya jae
ek taswir samne hai magar
aankh pur-nam hai kya kiya jae
us ki aadat hai der kar dena
zindagi kam hai kya kiya jae
saunp deta hawa ko KHak apni
par abhi nam hai kya kiya jae
kaisa jhagDa hai mere andar ye
shor har dam hai kya kiya jae
main hun tanha aur aap ke haq mein
ek aalam hai kya kiya jae
jhuT ka aur adl ka 'haidar'
rabt-e-baham hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.