hijr hai dil mein KHak uDti hai
hijr hai dil meñ ḳhaak uḌtī hai
sadr-e-mahfil meñ ḳhaak uḌtī hai
hai jo māh-e-siyām ai saaqī
kyā hī mahfil meñ ḳhaak uḌtī hai
vahī dil-jūīyāñ haiñ ba.ad-e-fanā
par mire dil meñ ḳhaak uḌtī hai
vo jo aatā nahīñ nahāne ko
bahr-o-sāhil meñ ḳhaak uḌtī hai
tire jalve se nuur ke badle
māh-e-kāmil meñ ḳhaak uḌtī hai
jis ko tujh se ġhubār hai ai 'mehr'
us kī mahfil meñ ḳhaak uḌtī hai
hijr hai dil mein KHak uDti hai
sadr-e-mahfil mein KHak uDti hai
hai jo mah-e-siyam ai saqi
kya hi mahfil mein KHak uDti hai
wahi dil-juiyan hain baad-e-fana
par mere dil mein KHak uDti hai
wo jo aata nahin nahane ko
bahr-o-sahil mein KHak uDti hai
tere jalwe se nur ke badle
mah-e-kaamil mein KHak uDti hai
jis ko tujh se ghubar hai ai 'mehr'
us ki mahfil mein KHak uDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.