hijr hai yas hai wahshat ka saman hai main hun
hijr hai yaas hai vahshat kā samāñ hai maiñ huuñ
umr Thahre hue mausam meñ ravāñ hai maiñ huuñ
mere dāman meñ jo ganjīna-e-gul hai tū hai
tere dāman meñ jo ik barg-e-ḳhizāñ hai maiñ huuñ
az-zamīñ tā-ba-falak raat kā sannāTā hai
aise aalam meñ jo ye shor-e-fuġhāñ hai maiñ huuñ
dekh hijrāñ meñ ḳhayālāt-e-pareshāñ kā fusūñ
jā bajā aks tirā raqs-kunāñ hai maiñ huuñ
tāq-e-har-shām pe jaltī huī ummīd hai to
ye jo bujhtī huī hasrat kā dhuāñ hai maiñ huuñ
chashm-e-sad-nāz hai paikān-e-sitam hai tū hai
aur ek zaḳhm-e-jigar jān-satāñ hai maiñ huuñ
barf jazbāt kī pighlī hai mirī hiddat se
andarūñ tere jo ik shoa.la-fishāñ hai maiñ huuñ
hijr hai yas hai wahshat ka saman hai main hun
umr Thahre hue mausam mein rawan hai main hun
mere daman mein jo ganjina-e-gul hai tu hai
tere daman mein jo ek barg-e-KHizan hai main hun
az-zamin ta-ba-falak raat ka sannaTa hai
aise aalam mein jo ye shor-e-fughan hai main hun
dekh hijran mein KHayalat-e-pareshan ka fusun
ja baja aks tera raqs-kunan hai main hun
taq-e-har-sham pe jalti hui ummid hai to
ye jo bujhti hui hasrat ka dhuan hai main hun
chashm-e-sad-naz hai paikan-e-sitam hai tu hai
aur ek zaKHm-e-jigar jaan-satan hai main hun
barf jazbaat ki pighli hai meri hiddat se
andarun tere jo ek shoala-fishan hai main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.