Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr ho anjam jis ka wo visal achchha nahin

Inayatullah Raushan Badauni

hijr ho anjam jis ka wo visal achchha nahin

Inayatullah Raushan Badauni

MORE BYInayatullah Raushan Badauni

    hijr ho anjām jis vo visāl achchhā nahīñ

    kaam vo achchhā nahīñ jis ma.aal achchhā nahīñ

    dost huuñ dushman samajhte ho samajh pher hai

    merī nisbat aap aisā ḳhayāl achchhā nahīñ

    roz farmāte haiñ Thahro vasl saa.at nahīñ

    ye mahīna hai burā ye din ye saal achchhā nahīñ

    jaan ruk ruk kar nikaltī hai kisī ke hijr meñ

    ab marīz-e-ishq sunte haiñ haal achchhā nahīñ

    kaam rahtā nahīñ jis zarf meñ aa jaa.e baal

    duur kar dil se kudūrat ko malāl achchhā nahīñ

    be-talab miltā hai ghar baiThe misāl-e-āsiyā

    aabrū khotā hai ai saa.il savāl achchhā nahīñ

    aib ai 'raushan' samajhte haiñ hunar koī hunar

    nā-muvāfiq hai zamāna ab kamāl achchhā nahīñ

    hijr ho anjam jis ka wo visal achchha nahin

    kaam wo achchha nahin jis ka maal achchha nahin

    dost hun dushman samajhte ho samajh ka pher hai

    meri nisbat aap ka aisa KHayal achchha nahin

    roz farmate hain Thahro wasl ki saat nahin

    ye mahina hai bura ye din ye sal achchha nahin

    jaan ruk ruk kar nikalti hai kisi ke hijr mein

    ab mariz-e-ishq ka sunte hain haal achchha nahin

    kaam ka rahta nahin jis zarf mein aa jae baal

    dur kar dil se kudurat ko malal achchha nahin

    be-talab milta hai ghar baiThe misal-e-asiya

    aabru khota hai ai sail sawal achchha nahin

    aib ai 'raushan' samajhte hain hunar koi hunar

    na-muwafiq hai zamana ab kamal achchha nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now