hijr ho yā visāl kuchh bhī ho
ab nahīñ kuchh malāl kuchh bhī ho
dekhnā hai kisī ko jī bhar ke
merī āñkhoñ kā haal kuchh bhī ho
ḳhūbsūrat hai dekhne se tire
aa.ina yā sifāl kuchh bhī ho
terī tasvīr bantī jaatī hai
merā apnā ḳhayāl kuchh bhī ho
zindagī tere naam kar dī hai
ab hamārā ma.aal kuchh bhī ho
āsmāñ boltā nahīñ 'āsim'
aadmī kā savāl kuchh bhī ho
hijr ho ya visal kuchh bhi ho
ab nahin kuchh malal kuchh bhi ho
dekhna hai kisi ko ji bhar ke
meri aankhon ka haal kuchh bhi ho
KHubsurat hai dekhne se tere
aaina ya sifal kuchh bhi ho
teri taswir banti jati hai
mera apna KHayal kuchh bhi ho
zindagi tere nam kar di hai
ab hamara maal kuchh bhi ho
aasman bolta nahin 'asim'
aadmi ka sawal kuchh bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.