hijr ho yā visāl rahne do
duur mujh se vabāl rahne do
darmiyāñ ik savāl rahne do
rābta yuuñ bahāl rahne do
sher kah lo kisī parinde par
ye mohabbat ke jaal rahne do
tum ko duniyā sañvārnī hai agar
to mire uljhe baal rahne do
ilm kī dhuup oḌh aa.e haiñ
husn kī zard shaal rahne do
vaqt-e-ruḳhsat kī rasm kā hāsil
lab par āḳhir visāl rahne do
lag ga.ī hai hameñ nazar us kī
ishq ko ye malāl rahne do
hijr ho ya visal rahne do
dur mujh se wabaal rahne do
darmiyan ek sawal rahne do
rabta yun bahaal rahne do
sher kah lo kisi parinde par
ye mohabbat ke jal rahne do
tum ko duniya sanwarni hai agar
to mere uljhe baal rahne do
ilm ki dhup oDh aae hain
husn ki zard shaal rahne do
waqt-e-ruKHsat ki rasm ka hasil
lab par aaKHir visal rahne do
lag gai hai hamein nazar us ki
ishq ko ye malal rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.