hijr jab tai hai to be-kar na hujjat karna
hijr jab tai hai to be-kār na hujjat karnā
jaane vaale ko bahut pyaar se ruḳhsat karnā
vo jo bheje the tirī mast nigāhoñ ne payām
ek baar aur zarā un kī vazāhat karnā
sab ke hāthoñ meñ ye ejāz-e-masīhā.ī kahāñ
ek hī lams kā mansab hai karāmat karnā
ye to aisā hai ki is raah meñ chal paḌiye
ishq karnā to baġhair izn-o-ijāzat karnā
dard uThtā bhī rahe aañkh se chhalke bhī nahīñ
sīkhte sīkhte aatā hai shikāyat karnā
ham ko ādāb-e-mohabbat nahīñ aate 'sīmā'
ham ko bas TuuT ke aatā hai mohabbat karnā
hijr jab tai hai to be-kar na hujjat karna
jaane wale ko bahut pyar se ruKHsat karna
wo jo bheje the teri mast nigahon ne payam
ek bar aur zara un ki wazahat karna
sab ke hathon mein ye ejaz-e-masihai kahan
ek hi lams ka mansab hai karamat karna
ye to aisa hai ki is rah mein chal paDiye
ishq karna to baghair izn-o-ijazat karna
dard uThta bhi rahe aankh se chhalke bhi nahin
sikhte sikhte aata hai shikayat karna
hum ko aadab-e-mohabbat nahin aate 'sima'
hum ko bas TuT ke aata hai mohabbat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.