hijr ka ranj ghaTe aisi dua jaanta hai
hijr kā ranj ghaTe aisī du'ā jāntā hai
tū koī vird koī ism batā jāntā hai
bas qiyāfoñ pe mujhe chhoḌ ke jaane vaale
ye tirā shahr mire baare meñ kyā jāntā hai
mashvare dete huoñ ko bhī kahāñ hai mā'lūm
itnā mā'sūm nahīñ achchhā burā jāntā hai
tū ne kyā soch ke mazmūn churāyā merā
dīn-e-islām meñ chorī kī sazā jāntā hai
log us shaḳhs kī muTThī meñ chale aate haiñ
vo kalā-kār koī aisī kalā jāntā hai
hijr ka ranj ghaTe aisi du'a jaanta hai
tu koi wird koi ism bata jaanta hai
bas qiyafon pe mujhe chhoD ke jaane wale
ye tera shahr mere bare mein kya jaanta hai
mashware dete huon ko bhi kahan hai ma'lum
itna ma'sum nahin achchha bura jaanta hai
tu ne kya soch ke mazmun churaya mera
din-e-islam mein chori ki saza jaanta hai
log us shaKHs ki muTThi mein chale aate hain
wo kala-kar koi aisi kala jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.