hijr kab masala samajhte hain
hijr kab mas.ala samajhte haiñ
ham ise irtiqā samajhte haiñ
ḳhud-shanāsī kī intihā ko ham
ishq kī ibtidā samajhte haiñ
is liye ho ga.e haiñ gosha-nashīñ
shahr kī ham fazā samajhte haiñ
apnī chhāñv sameT letā hai
jis shajar ko baḌā samajhte haiñ
is liye pyaar hai parindoñ se
ye mirā mas.ala samajhte haiñ
hijr kab masala samajhte hain
hum ise irtiqa samajhte hain
KHud-shanasi ki intiha ko hum
ishq ki ibtida samajhte hain
is liye ho gae hain gosha-nashin
shahr ki hum faza samajhte hain
apni chhanw sameT leta hai
jis shajar ko baDa samajhte hain
is liye pyar hai parindon se
ye mera masala samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.