hijr kahte hain kise ye kya kisi se puchhna
hijr kahte haiñ kise ye kyā kisī se pūchhnā
pūchhnā paḌ jaa.e bhī to bāñsurī se pūchhnā
bāñsurī jo ro rahī hai asl se kaTne kā dukh
asl kyā hai ye kisī darvesh hī se pūchhnā
aire-ġhaire se kabhī bhī yaar kī bābat na pūchh
us kā jab ho pūchhnā us ke valī se pūchhnā
ye bhī koī bevafā.ī hai jo apne saath hai
bevafā logoñ kā shar hazrat alī se pūchhnā
be-tukī mat pūchhnā ye jāhilāna kaam hai
martaba rakhnā hai puurī āgahī se pūchhnā
be-dilī se baat karnā guftugū kā aib hai
mast-hāloñ kī tabī.at ḳhush-dilī se pūchhnā
maut kahte haiñ jise vo hai farāvānī kā naam
rā.egānī kyā balā hai zindagī se pūchhnā
hijr kahte hain kise ye kya kisi se puchhna
puchhna paD jae bhi to bansuri se puchhna
bansuri jo ro rahi hai asl se kaTne ka dukh
asl kya hai ye kisi darwesh hi se puchhna
aire-ghaire se kabhi bhi yar ki babat na puchh
us ka jab ho puchhna us ke wali se puchhna
ye bhi koi bewafai hai jo apne sath hai
bewafa logon ka shar hazrat ali se puchhna
be-tuki mat puchhna ye jahilana kaam hai
martaba rakhna hai puri aagahi se puchhna
be-dili se baat karna guftugu ka aib hai
mast-haalon ki tabiat KHush-dili se puchhna
maut kahte hain jise wo hai farawani ka nam
raegani kya bala hai zindagi se puchhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.