hijr ke daur mein haalat badal jate hain
hijr ke daur meñ hālāt badal jaate haiñ
phuul mar jaate haiñ sab paat badal jaate haiñ
tū ne dekhā hai kabhī dard ke sahrāoñ meñ
dhuup baḌhne lage tab saath badal jaate haiñ
ham pe vo vaqt hai ab chāhe ḳhushī aa.e ki ġham
aañkh nam hotī hai jazbāt badal jaate haiñ
maiñ ne logoñ ko bhī mausam kā muqallid paayā
baat hotī hī nahīñ haath badal jaate haiñ
tum abhī aa.e ho tum baañT lo chāhat ke varaq
vaqt ke saath ḳhayālāt badal jaate haiñ
pahle thā bhuuk kā Dar ab hai ridā ḳhatre meñ
kyā ḳhabar thī hameñ ḳhatrāt badal jaate haiñ
ye to fitrat hai burā in ko na kahnā 'shākir'
tū ne dekhā nahīñ din raat badal jaate haiñ
hijr ke daur mein haalat badal jate hain
phul mar jate hain sab pat badal jate hain
tu ne dekha hai kabhi dard ke sahraon mein
dhup baDhne lage tab sath badal jate hain
hum pe wo waqt hai ab chahe KHushi aae ki gham
aankh nam hoti hai jazbaat badal jate hain
main ne logon ko bhi mausam ka muqallid paya
baat hoti hi nahin hath badal jate hain
tum abhi aae ho tum banT lo chahat ke waraq
waqt ke sath KHayalat badal jate hain
pahle tha bhuk ka Dar ab hai rida KHatre mein
kya KHabar thi hamein KHatraat badal jate hain
ye to fitrat hai bura in ko na kahna 'shakir'
tu ne dekha nahin din raat badal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.