hijr ke din ki raat hui barsat hui
hijr ke din kī raat huī barsāt huī
aañkh se dil kī baat huī barsāt huī
tanhā thā to saaf rahā ye matl.a-e-dil
yaad tumhārī saat huī barsāt huī
dil kā album khol ke gum-sum baiThā thā
tasvīroñ se baat huī barsāt huī
dhuup masāfat kaaTī ham ne hañs hañs kar
manzil par jab raat huī barsāt huī
pyaar ke khel meñ manzar ye bhī dekhā hai
jiit huī yā maat huī barsāt huī
hijr ke din ki raat hui barsat hui
aankh se dil ki baat hui barsat hui
tanha tha to saf raha ye matla-e-dil
yaad tumhaari sat hui barsat hui
dil ka album khol ke gum-sum baiTha tha
taswiron se baat hui barsat hui
dhup masafat kaTi hum ne hans hans kar
manzil par jab raat hui barsat hui
pyar ke khel mein manzar ye bhi dekha hai
jit hui ya mat hui barsat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.